My poems

Please leave your comments after going through the poems.....it helps me to write better :)

Tuesday, October 4, 2011

Radhe Krishan ka matlab



Barish ki nanhi bundae jab dhin dhina dhin girti hai
mridang banke baje Kanaiya, Radhe cham cham nachat hai

Man angan main jab mai Krishna charan ko pati hun
bavari bun dekh unko, man hi man muskati hun

Jhumte jhumte mere man ki gahraiyo se awaz ye aati hai
jaise koi Radhe Krishna Radhe Krishna bol bol pukarti hai

Awaz kaheti hai Radhe Krishna ki diwani samjho
acchi tarha samajo tum or phir saab ko samjha do

Radhe Krishna, Radhe Krishna aab phir bolo Radhe Krishna
aab aisthae se bolo Radhe Radhe Radhe Krishna

Radhe ka matalab samjho jaise humko raha de
Krishna tak paunchne ka rasta hume bata de

Humne samajliya or aab hum apko samjhate hai
Bhagwan ko pane ka rasta hai ye batalate hai

renukakkar 10.1.2010
Copyright@2010

No comments:

Post a Comment