Ae jaane wale teri judai mein,
kisi bhi tarah hum jee lenge.
Teri yaad mein dil ka diya jalai,
hamashein hum muskara denge.
Apne hi haaton se humne
dil ka diya bujha dala kaise?
Tumhare saat beetaye lamhe
bhoola doon mein kaise?
Manga to nahi tha bahut humne,
par aankoin mein to nammi aai.
Aapne aap ko hamesha humne.
haalaat se joojhte, thakaawat paai.
Apne hi haaton se humne
dil ka diya bujha dala kaise?
Tumhare saat beetaye lamhe
bhoola doon mein kaise?
Agar hum ko ilm hota
kashti majdhar mein girh jayagi.
Aanhoni ko dete rookwaa,
tum ko na jane dete kabhi.
Apne hi haaton se humne
dil ka diya bujha dala kaise?
Tumhare saat beetaye lamhe
bhoola doon mein kaise?
Rook lete tum ko kasam se,
Taqdeer ne yeh din dikhlaya,
Aaisa laga humko jaise.
fristho ko hamara milna raas na aya,
Apne hi haaton se humne
dil ka diya bujha dala kaise?
Tumhare saat beetaye lamhe
bhoola doon mein kaise?
renukakkar 8.12.2011
Copyright@2011
No comments:
Post a Comment