Jeete hai hum yu hi,
lekin zindagi nahin.
Jalte hue diye ki lou main,
jaise roshni nahi.
Judai to likhi pahle se,
aab to milna mumkin nahi.
Kaise tarape do dil,
koi raasta dikhta nahi.
Jeete hai hum yu hi,
lekin zindagi nahin.
Jalte hue diye ki lou main,
jaise roshni nahi.
Lagne laga tha jaise,
kushiya hongi hasil abhi.
Lekin majdhar me naav,
kinare se lagi nahi.
Jeete hai hum yu hi,
lekin zindagi nahin.
Jalte hue diye ki lou main,
jaise roshni nahi.
Hootho pe hansi hai,
lekin dil mai aye nahi.
Haste hai zakhum chupaye,
koi aur dekhe nahi.
Jeete hai hum yu hi,
lekin zindagi nahin.
Jalte hue diye ki lou main,
jaise roshni nahi.
Yeah chand ye hawa ye nazare,
sab ki aab zaroot nahi.
Agar tum paas na honge,
to inka vajood hi nahi.
Jeete hai hum yu hi,
lekin zindagi nahin.
Jalte hue diye ki lou main,
jaise roshni nahi.
Aajao tum kisi tara bhi,
karte intazaar nazre thake nahi.
Itni bhi dher na ho kabhi,
hum tumhe zinda mile nahi.
Jeete hai hum yu hi,
lekin zindagi nahin.
Jalte hue diye ki lou main,
jaise roshni nahi.
renukakkar 9.11.2011
Copyright @2011
No comments:
Post a Comment