Kehate hai is jagha ko sangam,
teen nadiyo ka hota milan.
Ganga,Yamuna or Saraswati,
teeno nadiya milti yahi.
Kahan kahan se aati hai,
meelo ka safar karti hai.
Ganga to bahati aati hai,
pass yamuna gehari aati hai.
Devatao or Danavo ki larhai main,
gira tha amrit yahain.
Is jagha pe nahate,
dhul jate sub paap yahain.
Trivani, Prayag ya Allahabad naam hai,
aye the yaha Baghvan Ram bhi.
12 varsh ke baad aata yaha,
Kumb ka mela lagata jaha.
Ganga ka paani peela,
yamuna ka paani neela.
Ganga ki gehari 4 feet,
yahuma ki hai 40 feet.
Ganga bahate saaf sutheri aage,
peelapan chor jaati piche.
Kashtiyo pe savaar hoke,
log aate hain sangam pe.
Triveni pe unchi jagha bani,
log nahate, paap dhote.
Swarg ki manokamna karte,
aapna mael piche chorte
Hum bhi aye the yaha,
bus kuch saal pahale.
Nahaye nahi yaha hum to,
bus pranaam keya Ganga ji ko.
renukakkar 29.10.2011
Copyright@ 2011
No comments:
Post a Comment